Kuch Din Pahle Mohabbat...


Kuch din pehle muhabbat ko muhabbat
samjha hum ne..
Muhabbat hui muhabbat ko apna samjha
hum ne..
Muhabbat main iss qadar madhosh ho gaye..
Iss ki bewafai ko wafa samjha hum ne..
Zakham iss qadar muhabbat ne diye..
In zakhmo ko phool samjha hum ne..
Muhabbat ki chikh o pukaar iss qadar thi..
Ass pass ke logo ki rone ko asna samjha
hum ne..
Muhabbat ki shidat main aankhen iss kadar
chandiya gaye..
Har chamakti hui chiz ko sona samjha hum
ne..
Dewaana iss qadar muhabbat ne bannaya
humko..
Apno ko begana aur unn ko apna samjha
hum ne..
Muhabbat ki yaadein dil par kuch youn naksh
kar gaye..
Bhulane ki koshish mein khud ko hi bhula
diya hum ne..

Comments

Popular posts from this blog

Romantic Shayaries | Hindi Shayaries | Love Shayaries